Kaalarism Lyrics Rap – Shubham Pal

Kaalarism Lyrics Rap is the Latest Rap Lyrics song 2022 from Hustle 2.0 which is sung by Shubham Pal and the lyrics is also given by Shubham Pal.

Kaalarism Lyrics Rap – Shubham Pal Lyrics

Kaalarism Lyrics Rap
SingerShubham Pal
Song WriterShubham Pal

I was in the grade 2
Kaksha mein abhinaya ka avsar mila par zyada sundarmaye
Ajay ko Mila role I couldn’t figure it why
I was 7 years old yeh rango pe kyu jaye?
Par ma’am
Geeta toh Krishna sunaye
Main Brahma ka hi ansh mujhey dhabba bulaye

Jo khud Lala ki bhakti karein
Vo khud Subah uth ke pehli dafa hi munh pe Chandan lagaye

If I had a choice
I would’ve erased my face
So I could look like you
par main tha maa ke hi bhes
So that I can match your world
Your lovely fair earth
The izzat I deserve
Ho kabiliyat pe garv
Par naa
I hate the mirror and my skin
Put the blame on my father and his ugly genes
I was in class sixth bhaar ye govardhan
Duniya ko dikhe kanha ke rang mein deficit

Hum bhi kya kam hain Lyrics – Ugen Bhutia



Maafi chahunga ke photo
Maine tumhari kharab kari
Filter ke color ki fikar badi
Sunkissed yeh lenses, my tone didn’t stand out for showbiz no show shit no magazine

Yaha luck ke liye, malna luxury soap pe
Ladki ko hai job jab tak munh pe uske nikhaar 4 shade ka gorapan Vichaar
Gaye bhaad Mein Haldi Mal yaar

Yeh le neem ka nikhaar
aamle se aloe Vera
Cream ka shikaar
Sanwle ka gora chehra
I just noticed beautiful people
taking beautiful pictures with
the beautiful ones Soundarya Sundar

Par Buri Nazar walo ka hi kyun Hota hi hai munh Kaala?
Karwaya Munh Kaala humara Kaha munh maara?
Kaale Hain kaam Kaala dhann
Yeh Kaala naseeb saala
Kaala kaloota, Kaala Saya
Yeh saala rang Kaala
Par Buri Nazar walo Ka kyun
Hota hi hai munh Kaala?
Karwaya Munh Kaala humara
Kaha munh maara?
Kaale Hain kaam Kaala dhann
Yeh Kaala naseeb saala
Kaala kaloota Kaala Saya
Yeh saala rang Kaala

Munh pe duct tape bandh loon?
Gatak Loon koi tonic
Karun cutface Weak ho?
Pelo weacko turmeric
Hai Khuda Ka shukriya
Ke mere maa baap ke bete do
Cause Betiyon ke liye
Ye toh aur bhi pathetic
Kaisa pati hoga? Kitna dahej dena hoga?
Beti ki durgati ka bhi price dena hoga?
Shremaan soche uski choti si beti ko
Shreemati banne ke liye bhi bech dena hoga
Sick Hain na? Stigma ye?
Par saalon Ka beej hai
Pairon ke beech Ka yeh
Privilege ajeeb hai
Chitti kalaiyaan wali
bandiyaan demand mein
Dimag gota aadmi Ka
aaj bhi gumaan Mein

Zeenat harr aurat ki chamdi saaf
Na badan pe koi til na nishaan na daag
Kaala ye surma, Shani Dev, Balaji ka libaas
Unfair lovely na kisi ka bhi khaas
Nazreen ki Nazaron
Mein dikhe unhe paradise
Haseen chehre na dikhe Kaun Parasite?
Kaumi yeh maamla dimaag unka paralyze
Saaf ye rang, na suna kabhi apartheid

Taane do taane 10 Taane bhi sune
Kaale dastane haath mein Carlos ki sune
Dastaan Tommie, Rodney aur Floyd ki sune
Saansein phool na jaaye kahin insaan ki sune
Kishton mein dhoop lena Tan na ho jaye dost
Kehdo Farishton se
Vehem na ho jaye dost
Main bhi hoon zinda meri maut ka dhyaan rakh
Mere guzarne pe Kafan
Ka rang soch

Buri Nazar walo Ka kyun
Hota hi hai munh Kaala?
Karwaya Munh Kaala humara
Kaha munh maara
Kaale Hain kaam Kaala dhann
Yeh Kaala naseeb saala
Kaala kaloota Kaala Saya
Yeh saala rang Kaala


Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply