Normal Days Lyrics a poem from the lockdown times. The poem is written by Khushali Kumar, the music is by Jigar Panchal, Chirag Panchal, and the poem also narrated by Khushali Kumar. The video is directed by Mohan S Vairaag.
Normal Days Lyrics Song Credits :-
Title – “Normal days”
Poem Narrated by & Featuring – Khushali Kumar
Music – Jigar Panchal, Chirag Panchal
Lyrics – Khushali Kumar
Video Director – Mohan S Vairaag
Â
Normal Days Lyrics
Jab maa kehti thi woh bhi kya din the
Peechhe jaane ki zaroorat kya hai
Aksar main yeh sochti thi sunkar
Kuchh dinon se halaat normal nahi hain
To mann apne aap bhaag jaata hai
Un dinon ki oar jab sab normal tha
Ek cup chai aur glucose ke biscuit khakar
Kaam par nikalna
Maa ka peechhe peechhe bhaagkar tiffin pakdana
Arre lunch to leti ja sath
Me & U Lyrics – Happy Raikoti
Raste mein logon ko
Traffic challan dene se bachne ke liye
Inspector se ladta dekh lagta tha
Police public se kyun jhagadti hai
Main badal gayi ya mera nazariya
Par aaj police kamaal lagti hai
Kahin se kuchh bhi kehte huye dost
Kya kamaal lagte the
Lagataar ek hi baat par ghanton baatein
Ab lagta hai woh time waste nahi kiya
Uss connection ka maza hi kuchh aur tha
Jinse kabhi hello bhi nahi huyi
Aaj unka chehra bhi jaana sa lagta hai
Jinke paas ghar nahi hai
Unki aankhon ka sapna bhi apna sa lagta hai
Saayad yeh kudrat humse kuchh keh rahi hai
Ab thoda ruk kar sochne ko keh rahi hai
Ab tak jo hua us’se kuchh seekhne ka
Ishaara kar rahi hai
Ab aane wale samay mein
Hum sabko hath pakadkar chalna hoga
Maa shayad yehi keh rahi hai
Ab ehmiyat pata chali
Ki normal se badhkar aur kuchh nahi hai
Meri maa ka pehle ke dinon sarahna
Ab samajh aaya ki kyun zaroori hai
Taaki jab sab normal ho jaaye
Hum har uss chez ko jiyein
Jo hamare munh par hansi aur
Doosron ke munh par khushi laate hai
Uski khushi meri hansi
Na tera mera na koyi faasla
Maa sabki sach kehti hai
Sabki aankhon mein sapne hain
Unhein phir se sach karenge
Bas ek baar phir waapas ho jaayein normal days
Â